Song Naya Naya from Movie Filhaal (2002) Summary
--FEMALE--
Naya Naya, Dhula Dhula - 2
Haan, Aasmaan Khula
--MALE--
Naya Naya, Dhula Dhula
Aasmaan Khula
--FEMALE--
Tumne Aankh Kholi To
Aah, Yeh Jahaan Khula
--MALE--
Tumne Aankh Kholi To
Yeh Jahaan Khula
Naya Naya, Yea Hey
--FEMALE--
Mm Mm Mm Mm, Mm Mm Mm Mm
--MALE--
Aap Ke Chehre Pe Kyoon
Shahed Jaisi Dhoop Chadne Lag Gayi Hai
--FEMALE--
Aap Ki Aankhon Mein Kyoon
Neend Apne Sapne Rakhne Lag Gayi Hai
Muskuraake Zindagi Ne Hairaan Kar Diya
--MALE--
Hairaan Kar Diya
Naya Naya, Dhula Dhula
Aasmaan Khula
--FEMALE--
Tumne Aankh Kholi To
Aah, Yeh Jahaan Khula
--MALE--
Naya Naya, Yea
--FEMALE--
Oh, Oh, Oh Aah Aah Aah Aah Aah
--MALE--
Muskuraahat Aap Ki
Lab Pe Rakhke Humne Aadhi Kaant Li
--FEMALE--
Aap Ne To Saans Bhi
Mere Lab Se Aati Aati Baant Li
Gale Lagaake Zindagi Ne Hairaan Kar Diya
--MALE--
Hairaan Kar Diya
Naya Naya, Dhula Dhula
Aasmaan Khula
--FEMALE--
Tumne Aankh Kholi To
Aah, Yeh Jahaan Khula
--MALE--
Tumne Aankh Kholi To
Haan, Yeh Jahaan Khula
--FEMALE--
Naya Naya, Dhula Dhula
--MALE--
Naya Naya, Dhula Dhula
Comments 