--FEMALE--
Phool Maangoon Na Bahaar Maangoon - 2
Main To Sanam Tera Pyaar Maangoon
--MALE--
Chain Maangoon Na Qaraar Maangoon - 2
Main To Sanam Tera Pyaar Maangoon
--FEMALE--
Phool Maangoon Na Bahaar Maangoon
--MALE--
Jo Bhi Chhupaaya Tha Is Dil Mein
Maine Tujhko Bataaya
--FEMALE--
Raaz-e-mohabbat Maine Bhi
Tujhse Kabhi Na Chhupaaya
--MALE--
Kaisi Hoti Hai Lagi Mujhko To Bata
--FEMALE--
Is Mein Hai Bechainiyaan, Is Mein Hai Nasha
--MALE--
Hosh Maangoon Na Khumaar Maangoon - 2
Main To Sanam Tera Pyaar Maangoon
--FEMALE--
Phool Maangoon Na Bahaar Maangoon
--MALE--
Chain Maangoon Na Qaraar Maangoon
Main To Sanam Tera Pyaar Maangoon
--FEMALE--
Phool Maangoon Na Bahaar Maangoon
Har Dam Chaahe Itna Mujhe
Hoga Na Aisa Deewaana
--MALE--
Tere Liye Main Jaane Jahan
Chhodoon Saara Zamaana
--FEMALE--
Guzregi Kaise Bhala Tanha Zindagi
--MALE--
Ab To Tere Naam Hai Meri Har Khushi
--FEMALE--
Roop Maangoon Na Singaar Maangoon - 2
Main To Sanam Tera Pyaar Maangoon
--MALE--
Phool Maangoon Na Bahaar Maangoon
--FEMALE--
Chain Maangoon Na Qaraar Maangoon
Main To Sanam Tera Pyaar Maangoon